Muqaabil hai tera aks mein yaad kaisey karun
Vasl-e-yaar mumkin na tha mein faryaad kaisay karun
Boond boond ko sahil har shab tadapta raha
Ek muthy aashianey ki iltija kaisay karun
Deewaney ho chaley hain yun mai ki pyaas mein
Raaz-e-aashnayi ko sar-e-bazaar kaisay karun
Har gali har koochey mein ruswa ho gaye
Dil-e-nadaan ki chaukhat ko beniqaab kaisay karun
Na dil aashnayi na berukhi seekh paayi tum “naz”
Yun lutti hai duniya ke phir aabaad kaisay karun
1 comment:
Waah....very nice Nazzo.
ab ek sher hamaari taraf se is hi zameen par..
Tum merey koun ho, tumne to ye kah diya
Par main tumhein is dil se judaa kaise karoon
Post a Comment