Showing posts with label Khayaal. Show all posts
Showing posts with label Khayaal. Show all posts

Thursday, April 9, 2009

Hasrat

Hasrat us lakeer ki manend hai
Jo sihayi ke beghair veeraan rehty hai....
Per har pal, har khwaab sisakty rehty hai....
Phir ek din koi uska khaaka bun jata hai..
Aur yun hasrat ko apni taabeer mil jaty hai..

Hasrat ki soch uski taabeer pe ruk si jaty hai..
Shayed wo is gumaan mein hai ke 
Faqt ek khwaab uski aazmaish ka sahara hai...
Aur hasrat is etemaad ko
Apney pallu baandh ke so jaty hai..

Per aj..
Janey kyun...

Janey kyun us khaakey ki siyahi madham ho gayi hai...
Janey kyun..

________________________________________________________
Kuch is qadar bekhabar thi khwabeeda nazam
Ke rakht-e-safar se afsos, na-aashna reh gayi

Monday, September 10, 2007

Ek Aetaraaf

Wo padhtey rahey khuda ko khudaayi samajh ker
Hum likhtey rahey ghazal ko rubaayi samajh ker
Na band-dagi khoj paayey na hi aashiqi mili
Phir kyu le gaye wo duaa ko duhaayi samajh ker

Hum na madhosh they na hi zeehosh they
Thodey nazron mein they thodey roposh they
Jo aajazi ko tumney yun cheena is tarha
Ab to jee uthey hain pehlay khaamosh they

Jo noor ko jala dey wo hiddat hum mein nahi thi
Jo kaif ko bujha dey wo tadap ghum mein nahi thi
Phir kyu lut gayi duniya or aabdeeda they chashm
Jab wo baat khaaksaar ke kalam mein nahi thi

Qaseeda ban gaye thi kuch inaayat is tarha
Tamashaa-e-zauq se na ho kuch shikaayat jis tarha
Likh diye fasaney yun nighah buland ker ke
“Naz” ban gayi ho khuda ki hadaayat jis tarha

Sunday, September 2, 2007

Bikher Gaye..!

Jab bhi hasraton ko thaamey terey koochey se guzrey
Hawaaon ne dareechon key rukh badal diye

Jab khawabon per mohrein si waqt ne laga di
Nazar kya tasweer kya tasawwur badal diye

Sadiaan si beet chali hain yun saayey ki aas mein
Tumney jo badley ghar, humney dil badal diye

Ab kya karein shikwa jab khud hi harjaa’ee they
Kisi aashiq ki tehreer-e-ghum ne muqaddar badal diye

Laut aao ab ke “naz” kuch na baaki hai
Teri chaukhat ki sarhad ne takhallus badal diye

Tuesday, July 3, 2007

Kaisay Karun..?

Muqaabil hai tera aks mein yaad kaisey karun
Vasl-e-yaar mumkin na tha mein faryaad kaisay karun

Boond boond ko sahil har shab tadapta raha
Ek muthy aashianey ki iltija kaisay karun

Deewaney ho chaley hain yun mai ki pyaas mein
Raaz-e-aashnayi ko sar-e-bazaar kaisay karun

Har gali har koochey mein ruswa ho gaye
Dil-e-nadaan ki chaukhat ko beniqaab kaisay karun

Na dil aashnayi na berukhi seekh paayi tum “naz”
Yun lutti hai duniya ke phir aabaad kaisay karun

Friday, June 29, 2007

Aadat si ho gayi hai...

Jab jab moondhi ankhion pe koi hawa ka jhonka chalta hai
Dhadkan ab bhi rukty hai ya aadat si ho gayi hai

Jab jab paid ki oot se koi khawab chura ke jata hai
Paayal ab bhi bajty hai ya aadat si ho gayi hai

Jab jab nadi ke shor mein koi deed lagayey rehta hai
Paani ab bhi bharty ho ya aadat si ho gayi hai

Jab jab lafzon ki aad mein koi chaid chaid ker hasta hai
Nazrein ab bhi jhukty hain ya aadat si ho gayi hai

Jab jab ek muskaan pe koi hasna bhool sa jata hai
“Naz” ab bhi kerty ho ya aadat si ho gayi hai

Wednesday, June 27, 2007

.......

Gumshuda hai samundar yun seep ki perchayi mein
Talaash ho jaisay be-asar kisi shab ki tanhayi mein

Berang hai manzar yun shama ki khudnumayi mein
Tareek ho jaisay aaina kisi rakht ki bewafayi mein

Saakat hai qayenaat yun jurm ki duhaayi mein
Tairta ho jaisay toofan kisi mauj ki khudayi mein

Tajusus hai qatil yun aansoo ki sunwayi mein
Kehtay ho jaisay ghazal kisi sha-ik ki ruswayi mein