Wednesday, June 27, 2007

.......

Gumshuda hai samundar yun seep ki perchayi mein
Talaash ho jaisay be-asar kisi shab ki tanhayi mein

Berang hai manzar yun shama ki khudnumayi mein
Tareek ho jaisay aaina kisi rakht ki bewafayi mein

Saakat hai qayenaat yun jurm ki duhaayi mein
Tairta ho jaisay toofan kisi mauj ki khudayi mein

Tajusus hai qatil yun aansoo ki sunwayi mein
Kehtay ho jaisay ghazal kisi sha-ik ki ruswayi mein

2 comments:

admin said...

I loved it....pata nahi kitni dafaa padh chuka hoon...

Munazza said...

:O!!!!!!